शुक्रवार, 12 अप्रैल 2019

what is on page and off page seo in hindi

what is on-page seo and off-page seo?

hii friends aaj ham baat karne wale hai seo ke baare me seo keya hota hai , on page seo aur off page seo keya hota hai . ham seo ka use karke kese apani website ko google me rank kara sakate hai. agar ham on page seo aur off page seo na kare to keya hame uska negative effect pad sakata hai ya nahi. to agar aap nahi jante hai ki seo keya hai , on page seo aur off page seo keya hai to aap hamare is blog ko padate rahiye.
off page seo kaise kare
off page seo kaise kare

seo keya hai?

seo yani search engine optimaization . ham seo ki madad se apani website ko google ke first page par rank kara sakate hai .


seo do tarh ke hota hai .
1. on page seo
2.off page seo

hame apani website ko google ke first page par rank karane ke liye dono tarh ki seo ki jarurat padati hai.

on page seo
on page seo ke baare me aap yaha se jankari prapt kar sakate hai 

on page seo checklist


off page seo kaise kare
seo- off page seo in hindi


off page seo checklist

15 tips of off-page seo in hindi

off page seo :- off page seo bhi ek bahut important tool hai google me rank karane ke liye.

1.social networking site:- sabse pahale hame apana website ya blog ke naam se facebook , instagram, twitter , youtube par pages aur channels banane chahiye taki ham audiues se connect rah sake .


2. blogging:-hame alag alag plateform jese blogger , wordpress, quora  par blogging karani chahiye .


3.article submission:- hame alag alag article submission , blog submission , url submission , ka use karana chahiye taki hame free backlinks mil jaye .


4. blog marketing :- blog marketing yani ki hame apane blog/ website ko promote karana chahiye . ham chahe to apane blog ko sponcered bhi kara sakte hai .

5.search engine submission :- yah ek bahut hi achaa tool hai .hame hame apne blog / website ko alag alag search engine jese google , bing , yaaho me submitt karana chahiye .

6.diractory submission ;- yah ek bahut hi achaa off page seo tool hai ham apane blog ke url ko under categary me submitt kar sakate hai .jo hamare liye ek bahut hi achaa backlinks banan sakata hai .

7.forum marketing :- is  ki help se ham apane website ek products ko alag alag  logo ke saath milkar advetise kar sakate hai . 

8.answer question:- hame answerning question jese forums ko join karana chahiye .jese quora ham is tool ka use karake ek bahut hi achaa back links bana sakate hai .

9. link baiting :- link bating ek esa tool hai jisaki madad se ham apane website ko achi backlinks de sakate hai .ham kisi dusare publishers se contect kar ke kah sakate hai ki wo apane blog me hamare post ke link add kare aur aap apne blog me unke post ke link add karde.

10.photo sharing - apane blog ya website ko popular karane ke liye hame pinternest ko join karana chahiye jaha par aap apane blog ka  photo upload karana chahiye taki  koi bhi user us link ke help se  apake website par pahuchega .

11.video marketing :- video marketing ka sabase achaa toll hai youtube . hame  apane website / blog ko youtube ke jariye bhi promote karana chahiye .

12.social bookmarking :- jab bhi ham apane website ka page kahi aur banante hai to hAME apane blog/ website ka url bhi add kar dete hai . jisase hamre blog ko kabhi achaa backlinks milata hai .

13.business reviews :- is tool me  agar koi haamre blog / website ko reviews karatah hai aur grade deta hai to wo hamare blog ke liye kafi acaa hota hai .

14. guest posting :- hame  apane website ke related niche wale me jaakar guest posting karana chahiye . taki hame waha se bhi achi highquality  backlinks mil jaaye .

15.cross linking :- yah bhi kafi achaa tool hai iski madad se ham apane website ke link ko alag alag website me add kara sakate hai . jisase ek link ban jaaatahai .jo hamare blog ke liye kafi achaa hota hai.

umid hai apako yah blog pasand aai hogi agar aapaka koi bhi doought hai to aap comment kar sakate hai .


कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें